Pond Preparation – Talaab Kaise Banaye

Machali palan karne se pahle agar aap apne talaab ka nirman ache tarike se karte hai to machaliyon ki hone wali pareshaniya 50% tak kam ho jati hai.

Fish farming karne se pahle niche likhe huwe baton ka vishes dhyan dena chahiye –

  1. Fish Pond ka direction east (purab) to west (pashchim) hona chahiye taki suraj ke pahli kiran se lekar aakhir kiran tak maximum dhoop talaab me pade jo ki fish pond me oxygen level banaye rakhne me helpful hota hai.
  2. talaab ki lambai hamesha chaudae ke apeksha badi hone chahiye kyunki machliya ek direction me bhagna bahut pasand karti hai jisse unki growth ache se hoti hai.. agar lambai kam rahegi to machli baar baar direction change karegi jisse unke growth pe asar pad sakta hai.
  3. agar aap purane talaab ka upyog karna chahte hai fish farming ke liye to pahle talaab ke purane pani ko nikal kar, 2-3 din talaab ko pura sukha le. Ek bar dhoop se talaab sukh jaye to usme dubara jotae karwake phir se sukhne de. Esse talaab ke zameen ki niche rahne wali chote jiv jantu mar jayenge to aapke machliye ko nuksan pahucha sakte hai.
  4. eske baad aap khane wale chuna ka chidkao karna hai sukhe huwe talaab pe. ye prakriya sadi huwi gobar ki khaad dalne se pahle karna hai. Chune ka chidkao karne ke baad 2-3 din tak talaav ko aise hi chod de. usme paani na daalein.
  5. 3 din baad gobar ki khaad ko puri talaab me barabar duri pe daal de.. aur phir paani thoda bhar de taki gobar ki khad usme mil jaye.
  6. sadi huwi gobar ki khad aur chune ka sahi prayog se bhi talaab surakshit ho jata hai
  7. paani ki gahrae 3-4 feet kam se kam honi chahiye
  8. talaab ke border (med) ko strong banwana chahiye taki paani bharne ya barish hone se wo bah kar dubara pond me na mil jaye jisse med per katan ho sakta hai aur puri machliya aapko talaab se bahar ho sakti hai.
  9. Proper inlet aur outlet ki vyastha ho
  10. outlet ka upyog aap adhik paani ko nikalne pe kiye kar sakte hai ya agar barish jyada ho to barish ka paani bhi ye automatic nikalta rahega jisse aapka talaab aur machliya dono surakshit rahengi.