agar aapki fish bimar hai to us waqt machli ke talaab me jaal nahi chalana chahiye. Fish ko proper medicine dene ke baad wait kijiye, taki machliya aapki thik ho jaye.
agar aapne bimaar machliyon ko dawa de di hai aur dhere dhere wo sahi ho rahi hai to jab tak wo puri tarah se sahi na ho jaye, aapko talab ko change nahi karna chahiye. Kayi log ye sochte hai ki ho sakta hai talaab ke wajah se machliya mar rahi ho aur talaab balane se shayad unki bimari thik ho jaye. Lekin ye galat hai, ek to pahle se hi machliyan aapki stress aur tension me hai aur upar se agar aap talaab change karte hai to so sakta hai ki wo aur stress me aa jaye aur pahle se jyada mortality hone lage.